اردو हिंदी
Eid Shayari | Shaahi Shayari

Eid

17 Shers

aaj yaron ko mubarak ho ki subh-e-id hai
rag hai mai hai chaman hai dilruba hai did hai

Abroo Shah Mubarak


Tags: | Eid | | 2 Lines Shayari |


id ka din hai so kamre mein paDa hun 'aslam'
apne darwaze ko bahar se muqaffal kar ke

Aslam Kolsarii




tum bin chand na dekh saka TuT gai ummid
bin darpan bin nain ke kaise manaen id

Bekal Utsahi


Tags: | Eid | | 2 Lines Shayari |


hasil us mah-laqa ki did nahin
id hai aur hum ko id nahin

Bekhud Badayuni


Tags: | Deedar | | Eid | | 2 Lines Shayari |


us se milna to use id-mubarak kahna
ye bhi kahna ki meri id mubarak kar de

Dilawar Ali Aazar


Tags: | Eid | | 2 Lines Shayari |


kahte hain id hai aaj apni bhi id hoti
hum ko agar mayassar jaanan ki did hoti

Ghulam Bhik Nairang


Tags: | Deedar | | Eid | | 2 Lines Shayari |


aadban naz se lahra ke chali baad-e-murad
karwan id mana qafila-salar aaya

Josh Malihabadi


Tags: | Eid | | 2 Lines Shayari |