gharaz kufr se kuchh na din se hai matlab
tamasha-e-dair-o-haram dekhte hain
Sauda Mohammad Rafi
gila likhun main agar teri bewafai ka
lahu mein gharq safina ho aashnai ka
Sauda Mohammad Rafi
gul phenke hai auron ki taraf balki samar bhi
ai KHana-bar-andaz-e-chaman kuchh to idhar bhi
Sauda Mohammad Rafi
hai muddaton se KHana-e-zanjir be-sada
malum hi nahin ki diwane kidhar gae
Sauda Mohammad Rafi
har aan aa mujhi ko satate ho naseho
samjha ke tum use bhi to yak-bar kuchh kaho
Sauda Mohammad Rafi
har sang mein sharar hai tere zuhur ka
musa nahin jo sair karun koh tur ka
Sauda Mohammad Rafi
is kashmakash se dam ke kya kaam tha hamein
ai ulfat-e-chaman tera KHana-KHarab ho
Sauda Mohammad Rafi
ishq se to nahin hun main waqif
dil ko shoala sa kuchh lipaTta hai
Sauda Mohammad Rafi
jab yar ne uTha kar zulfon ke baal bandhe
tab main ne apne dil mein lakhon KHayal bandhe
Sauda Mohammad Rafi