اردو हिंदी
Gar tujh mein hai wafa to jafakar kaun hai | Shaahi Shayari
gar tujh mein hai wafa to jafakar kaun hai

Ghazal

Gar tujh mein hai wafa to jafakar kaun hai

Sauda Mohammad Rafi

;

gar tujh mein hai wafa to jafakar kaun hai
dildar tu hua to dil-azar kaun hai

nalan hun muddaton se tere sae ke tale
puchha na ye kabhu pas-e-diwar kaun hai

har shab sharab-KHwar har ek din siyah hai
aashufta zulf o laTpaTi dastar kaun hai

har aan dekhta hun main apne sanam ko shaiKH
tere KHuda ka talib-e-didar kaun hai

'sauda' ko jurm-e-ishq se karte hain aaj qatl
pahchanta hai tu ye gunahgar kaun hai