اردو हिंदी
Dil mat Tapak nazar se ki paya na jaega | Shaahi Shayari
dil mat Tapak nazar se ki paya na jaega

Ghazal

Dil mat Tapak nazar se ki paya na jaega

Sauda Mohammad Rafi

;

dil mat Tapak nazar se ki paya na jaega
jun ashk phir zamin se uThaya na jaega

ruKHsat hai baghban ki tanik dekh len chaman
jate hain wan jahan se phir aaya na jaega

kaba Daha to gham na kar ai shaiKH-e-but-shikan
dil barhaman ka hai ki banaya na jaega

aane se fauj-e-KHat ke na ho dil ko muKHlisi
bandhua hai zulf ka ye chhuTaya na jaega

pahunchenge us chaman mein na hum dad ko kabhu
jun gul ye chaak-e-jeb silaya na jaega

tegh-e-jafa-e-yar se dil sar na pheriyo
phir munh wafa ko hum se dikhaya na jaega

aawega wo chaman mein na ai abr jab talak
pani gulon ke munh mein chuwaya na jaega

ammame ko utar ke paDhiyo namaz shaiKH
sajde se warna sar ko uThaya na jaega

zahid gile se maston ke baz aane ka nahin
ta mai-kade mein la ke chhakaya na jaega

zalim na main kaha tha ki is KHun se darguzar
'sauda' ka qatl hai ye chhupaya na jaega

daman-o-dagh-e-tegh ko dhoya to kya hua
aalam ke dil se dagh dhulaya na jaega