dil mat Tapak nazar se ki paya na jaega
jun ashk phir zamin se uThaya na jaega
Sauda Mohammad Rafi
aadam ka jism jab ki anasir se mil bana
kuchh aag bach rahi thi so aashiq ka dil bana
Sauda Mohammad Rafi
firaq-e-KHuld se gandum hai sina-chaak ab tak
ilahi ho na watan se koi gharib juda
Sauda Mohammad Rafi
gar ho sharab o KHalwat o mahbub-e-KHub-ru
zahid qasam hai tujh ko jo tu ho to kya kare
Sauda Mohammad Rafi
gar tujh mein hai wafa to jafakar kaun hai
dil-dar tu hua to dil-azar kaun hai
Sauda Mohammad Rafi
gharaz kufr se kuchh na din se hai matlab
tamasha-e-dair-o-haram dekhte hain
Sauda Mohammad Rafi
gila likhun main agar teri bewafai ka
lahu mein gharq safina ho aashnai ka
Sauda Mohammad Rafi
gul phenke hai auron ki taraf balki samar bhi
ai KHana-bar-andaz-e-chaman kuchh to idhar bhi
Sauda Mohammad Rafi
hai muddaton se KHana-e-zanjir be-sada
malum hi nahin ki diwane kidhar gae
Sauda Mohammad Rafi