ai kash KHud sukut bhi mujh se ho ham-kalam
main KHamushi-zada hun sada chahiye mujhe
Sabir Zafar
kahti hai ye sham ki narm hawa phir mahkegi is ghar ki faza
naya kamra saja nai shama jala tere chahne wale aur bhi hain
Sabir Zafar
kaise karen bandagi 'zafar' wan
bandon ki jahan KHudaiyan hain
Sabir Zafar
KHizan ki rut hai janam-din hai aur dhuan aur phul
hawa bikher gai mom-battiyan aur phul
Sabir Zafar
kisi KHayal ki sarshaari mein jari-o-sari yari mein
apne-ap koi aaega aur ban jaega mehman
Sabir Zafar
kisi zindan mein sochna hai abas
dahr hum mein hai ya ki dahr mein hum
Sabir Zafar
kitni be-sud judai hai ki dukh bhi na mila
koi dhoka hi wo deta ki main pachhta sakta
Sabir Zafar
kuchh be-Thikana karti rahin hijraten mudam
kuchh meri wahshaton ne mujhe dar-ba-dar kiya
Sabir Zafar
main aise jamghaTe mein kho gaya hun
jahan mere siwa koi nahin hai
Sabir Zafar