adan ne chhoD diya ruh ne riha na kiya
main qaid hi mein raha qaid se nikal ke bhi
Sabir Zafar
ana hua hai mera shahr qatl-gah koi
palaT ke maon ke laKHt-e-jigar nahin aate
Sabir Zafar
ewafa logon mein rahna teri qismat hi sahi
in mein shamil main tera nam na hone dunga
Sabir Zafar
dur tak ek KHala hai so KHala ke andar
sirf tanhai ki surat hi nazar aaegi
Sabir Zafar
guzarta hun jo shab ishq-e-be-maash ke sath
to subh ashk mere nashte pe girte hain
Sabir Zafar
hum itna chahte the ek dusre ko 'zafar'
main us ki aur wo meri misal ho ke raha
Sabir Zafar
har darje pe ishq kar ke dekha
har darje mein bewafaiyan hain
Sabir Zafar
har shaKHs bichhaD chuka hai mujh se
kya jaaniye kis ko DhunDhta hun
Sabir Zafar
ik-adh bar to jaan warni hi paDti hai
mohabbaten hon to banta nahin bahana koi
Sabir Zafar