wo log aaj KHud ek dastan ka hissa hain
jinhen aziz the qisse kahaniyan aur phul
Sabir Zafar
yahan hai dhup wahan sae hain chale jao
ye log lene tumhein aae hain chale jao
Sabir Zafar
ye ibtida thi ki main ne use pukara tha
wo aa gaya tha 'zafar' us ne intiha ki thi
Sabir Zafar
ye zaKHm-e-ishq hai koshish karo hara hi rahe
kasak to ja na sakegi agar ye bhar bhi gaya
Sabir Zafar
'zafar' hai behtari is mein ki main KHamosh rahun
khule zaban to izzat kisi ki kya rah jae
Sabir Zafar
'zafar' wahan ki jahan ho koi bhi had qaem
faqat bashar nahin hota KHuda bhi hota hai
Sabir Zafar
ilaj-e-ahl-e-sitam chahiye abhi se 'zafar'
abhi to sang zara fasle pe girte hain
Sabir Zafar
ajab ek be-yaqini ki faza hai
yahan hona na hona ek sa hai
Sabir Zafar
apni yaaden us se wapas mang kar
main ne apne-ap ko yakja kiya
Sabir Zafar