kya maslahat-shanas tha wo aadmi 'qatil'
majburiyon ka jis ne wafa nam rakh diya
Qateel Shifai
kya jaane kis ada se liya tu ne mera nam
duniya samajh rahi hai ki sach-much tera hun main
Qateel Shifai
kuchh kah rahi hain aap ke sine ki dhaDkanen
mera nahin to dil ka kaha man jaiye
Qateel Shifai
angDai par angDai leti hai raat judai ki
tum kya samjho tum kya jaano baat meri tanhai ki
Qateel Shifai
jo bhi aata hai batata hai naya koi ilaj
baT na jae tera bimar masihaon mein
Qateel Shifai
jis barahman ne kaha hai ki ye sal achchha hai
us ko dafnao mere hath ki rekhaon mein
Qateel Shifai
jit le jae koi mujh ko nasibon wala
zindagi ne mujhe danw pe laga rakkha hai
Qateel Shifai
jab bhi aata hai mera nam tere nam ke sath
jaane kyun log mere nam se jal jate hain
whenever my name happens to be linked to thee
I wonder why these people burn with jealousy
Qateel Shifai
husn ko chand jawani ko kanwal kahte hain
un ki surat nazar aae to ghazal kahte hain
Qateel Shifai