tark-e-wafa ke baad ye us ki ada 'qatil'
mujh ko satae koi to us ko bura lage
Qateel Shifai
abta lakh sahi qafila-salar ke sath
hum ko chalna hai magar waqt ki raftar ke sath
Qateel Shifai
ahega sath tera pyar zindagi ban kar
ye aur baat meri zindagi wafa na kare
Qateel Shifai
aqs karne ka mila hukm jo dariyaon mein
hum ne KHush ho ke bhanwar bandh panw mein
Qateel Shifai
sati to main ho jaungi par ye mujhe bata
pahle agar main mar gai jalega tu bhi kya
Qateel Shifai
shama jis aag mein jalti hai numaish ke liye
hum usi aag mein gum-nam se jal jate hain
the fire,that the flame burns in, for all to see
In that very fire I do burn but namelessly
Qateel Shifai
sitam to ye hai ki wo bhi na ban saka apna
qubul hum ne kiye jis ke gham KHushi ki tarah
Qateel Shifai
soch ko jurat-e-parwaz to mil lene do
ye zamin aur hamein tang dikhai degi
Qateel Shifai
subut-e-ishq ki ye bhi to ek surat hai
ki jis se pyar karen us pe tohmaten bhi dharen
Qateel Shifai