dil pe aae hue ilzam se pahchante hain
log ab mujh ko tere nam se pahchante hain
Qateel Shifai
dad-e-safar mili hai kise rah-e-shauq mein
hum ne miTa diye hain nishan apne panw ke
Qateel Shifai
chalo achchha hua kaam aa gai diwangi apni
wagarna hum zamane bhar ko samjhane kahan jate
twas a good thing that my madness was to some avail
else, for my state, what other reason could the world I show?
Qateel Shifai
hum ko aapas mein mohabbat nahin karne dete
ek yahi aib hai is shahr ke danaon mein
Qateel Shifai
apni zaban to band hai tum KHud hi soch lo
paDta nahin hai yunhi sitam-gar kisi ka nam
Qateel Shifai
apne liye ab ek hi rah najat hai
har zulm ko raza-e-KHuda kah liya karo
Qateel Shifai
ahbab ko de raha hun dhoka
chehre pe KHushi saja raha hun
Qateel Shifai
achchha yaqin nahin hai to kashti Duba ke dekh
ek tu hi naKHuda nahin zalim KHuda bhi hai
Qateel Shifai
abhi to baat karo hum se doston ki tarah
phir iKHtilaf ke pahlu nikalte rahna
Qateel Shifai