'qatil' ab dil ki dhaDkan ban gai hai chap qadmon ki
koi meri taraf aata hua mahsus hota hai
Qateel Shifai
nikal kar dair-o-kaba se agar milta na mai-KHana
to Thukrae hue insan KHuda jaane kahan jate
if on leaving temple,mosque no tavern were be found
what refuge would outcasts find? this only God would know
Qateel Shifai
nikal kar dair-o-kaba se agar milta na but-KHana
to Thukrae hue insan KHuda jaane kahan jate
Qateel Shifai
na jaane kaun si manzil pe aa pahuncha hai pyar apna
na hum ko e'tibar apna na un ko e'tibar apna
Qateel Shifai
na chhanw karne ko hai wo aanchal na chain lene ko hain wo banhen
musafiron ke qarib aa kar har ek basera palaT gaya hai
Qateel Shifai
mujh se tu puchhne aaya hai wafa ke mani
ye teri sada-dili mar na Dale mujh ko
Qateel Shifai
muflis ke badan ko bhi hai chadar ki zarurat
ab khul ke mazaron pe ye elan kiya jae
Qateel Shifai
mere baad wafa ka dhoka aur kisi se mat karna
gali degi duniya tujh ko sar mera jhuk jaega
Qateel Shifai
mat aaiyo tum shahr mein ban ban nachte mor
nirat ke dushman sab yahan kya hakim kya cho
Qateel Shifai