اردو हिंदी
Nigahon mein KHumar aata hua mahsus hota hai | Shaahi Shayari
nigahon mein KHumar aata hua mahsus hota hai

Ghazal

Nigahon mein KHumar aata hua mahsus hota hai

Qateel Shifai

;

nigahon mein KHumar aata hua mahsus hota hai
tasawwur jam chhalkata hua mahsus hota hai

KHiram-e-naz aur un ka KHiram-e-naz kya kahna
zamana Thokaren khata hua mahsus hota hai

tasawwur ek zehni justuju ka nam hai shayad
dil un ko DhunDh kar lata hua mahsus hota hai

kisi ki nuqrai pazeb ki jhankar ke sadqe
mujhe sara jahan gata hua mahsus hota hai

'qatil' ab dil ki dhaDkan ban gai hai chap qadmon ki
koi meri taraf aata hua mahsus hota hai