Darta hun aasman se bijli na gir paDe
sayyaad ki nigah su-e-ashiyan nahin
Momin Khan Momin
dho diya ashk-e-nadamat ne gunahon ko mere
tar hua daman to bare pak daman ho gaya
Momin Khan Momin
dida-e-hairan ne tamasha kiya
der talak wo mujhe dekha kiya
Momin Khan Momin
dushnam-e-yar tab-e-hazin par giran nahin
ai ham-nashin nazakat-e-awaz dekhna
Momin Khan Momin
ejaz-e-jaan-dahi hai hamare kalam ko
zinda kiya hai hum ne masiha ke nam ko
life-bestowing miracles my poetry can claim
glory I have now restored to the Messiah's name
Momin Khan Momin
ghairon pe khul na jae kahin raaz dekhna
meri taraf bhi ghamza-e-ghammaz dekhna
Momin Khan Momin
go aap ne jawab bura hi diya wale
mujh se bayan na kije adu ke payam ko
though you may have replied to him as rudely as you claim
don't tell me what was in my rival's message, just the same
Momin Khan Momin
go ki hum safha-e-hasti pe the ek harf-e-ghalat
lekin uTThe bhi to ek naqsh biTha kar uThe
Momin Khan Momin
hans hans ke wo mujh se hi mere qatl ki baaten
is tarah se karte hain ki goya na karenge
Momin Khan Momin