aap ki kaun si baDhi izzat
main agar bazm mein zalil hua
Momin Khan Momin
haal-e-dil yar ko likhun kyunkar
hath dil se juda nahin hota
Momin Khan Momin
hath TuTen main ne gar chheDi hon zulfen aap ki
aap ke sar ki qasam baad-e-saba thi main na tha
Momin Khan Momin
hai kis ka intizar ki KHwab-e-adam se bhi
har bar chaunk paDte hain aawaz-e-pa ke sath
Momin Khan Momin
hai kuchh to baat 'momin' jo chha gai KHamoshi
kis but ko de diya dil kyun but se ban gae ho
Momin Khan Momin
hum samajhte hain aazmane ko
uzr kuchh chahiye satane ko
Momin Khan Momin
ho gae nam-e-butan sunte hi 'momin' be-qarar
hum na kahte the ki hazrat parsa kahne ko hain
Momin Khan Momin
ho gaya raaz-e-ishq be-parda
us ne parde se jo nikala munh
Momin Khan Momin
itni kudurat ashk mein hairan hun kya kahun
dariya mein hai sarab ki dariya sarab mein
Momin Khan Momin