naseha dil mein to itna tu samajh apne ki hum
lakh nadan hue kya tujh se bhi nadan honge
Momin Khan Momin
na karo ab nibah ki baaten
tum ko ai mehrban dekh liya
Momin Khan Momin
momin main apne nalon ke sadqe ki kahte hain
us ko bhi aaj nind na aai tamam sha
Momin Khan Momin
'momin' KHuda ke waste aisa makan na chhoD
dozaKH mein Dal KHuld ko ku-e-butan na chhoD
for sake of God! momin from leaving this house refrain
let paradise to hell consign, leave not the idol's lane
Momin Khan Momin
mere taghir-e-rang ko mat dekh
tujh ko apni nazar na ho jae
Momin Khan Momin
majlis mein mere zikr ke aate hi uThe wo
badnami-e-ushshaq ka eazaz to dekho
Momin Khan Momin
main bhi kuchh KHush nahin wafa kar ke
tum ne achchha kiya nibah na ki
Momin Khan Momin
mahshar mein pas kyun dam-e-fariyaad aa gaya
rahm us ne kab kiya tha ki ab yaad aa gaya
Momin Khan Momin
manga karenge ab se dua hijr-e-yar ki
aaKHir to dushmani hai asar ko dua ke sath
to be parted from my dearest I will pray now hence
as after all prayers bear enmity with consequence
Momin Khan Momin