hai bahut kuchh meri tabir ki duniya tujh mein
phir bhi kuchh hai ki jo KHwabon ke jahan se kam hai
Irfan Siddiqi
ek main hun ki is aashob-e-nawa mein chup hun
warna duniya mere zaKHmon ki zaban bolti hai
Irfan Siddiqi
ek laDka shahr ki raunaq mein sab kuchh bhul jae
ek buDhiya roz chaukhaT par diya raushan kare
Irfan Siddiqi
dekh leta hai to khilte chale jate hain gulab
meri miTTi ko KHush-asar kiya hai us ne
Irfan Siddiqi
daulat-e-sar hun so har jitne wala lashkar
tasht mein rakhta hai neze pe sajata hai mujhe
Irfan Siddiqi
hum sab aaina-dar-aina-dar-aina hain
kya KHabar kaun kahan kis ki taraf dekhta hai
Irfan Siddiqi
adan ke donon kinaron se jal raha hun main
ki chhu raha hun tujhe aur pighal raha hun main
Irfan Siddiqi
apne kis kaam mein laega batata bhi nahin
hum ko auron pe ganwana bhi nahin chahta hai
Irfan Siddiqi
apne chaaron samt diwaren uThana raat din
raat din phir sari diwaron mein dar karna mujhe
Irfan Siddiqi