اردو हिंदी
Badan ke donon kinaron se jal raha hun main | Shaahi Shayari
badan ke donon kinaron se jal raha hun main

Ghazal

Badan ke donon kinaron se jal raha hun main

Irfan Siddiqi

;

badan ke donon kinaron se jal raha hun main
ki chhu raha hun tujhe aur pighal raha hun main

tujhi pe KHatm hai jaanan mere zawal ki raat
tu ab tulu bhi ho ja ki Dhal raha hun main

bula raha hai mera jama-zeb milne ko
to aaj pairahan-e-jaan badal raha hun main

ghubar-e-rahguzar ka ye hausla bhi to dekh
hawa-e-taza tere sath chal raha hun main

main KHwab dekh raha hun ki wo pukarta hai
aur apne jism se bahar nikal raha hun main