mere guman ne mere sab yaqin jala Dale
zara sa shoala bhari bastiyon ko chaT gaya
Irfan Siddiqi
mere hone mein kisi taur se shamil ho jao
tum masiha nahin hote ho to qatil ho jao
Irfan Siddiqi
maula, phir mere sahra se bin barse baadal lauT gae
KHair shikayat koi nahin hai agle baras barsa dena
Irfan Siddiqi
main teri manzil-e-jaan tak pahunch to sakta hun
magar ye rah badan ki taraf se aati hai
Irfan Siddiqi
main ne itna use chaha hai ki wo jaan-e-murad
KHud ko zanjir-e-mohabbat se riha chahti hai
Irfan Siddiqi
main kahan tak dil-e-sada ko bhaTakne se bachaun
aankh jab uTThe gunahgar bana de mujh ko
Irfan Siddiqi
main jhapaTne ke liye DhunDh raha hun mauqa
aur wo shoKH samajhta hai ki sharmata hun
Irfan Siddiqi
main chahta hun yahin sare faisle ho jaen
ki is ke baad ye duniya kahan se launga main
Irfan Siddiqi
magar giraft mein aata nahin badan us ka
KHayal DhunDhta rahta hai istiara koi
Irfan Siddiqi