kaha tha tum ne ki lata hai kaun ishq ki tab
so hum jawab tumhaare sawal hi ke to hain
Irfan Siddiqi
kabhi jo zahmat-e-kar-e-rafu nahin karta
hamare zaKHm usi chaaragar ke nam tamam
Irfan Siddiqi
jo tir buDhon ki fariyaad tak nahin sunte
to un ke samne bachchon ka muskurana kya
Irfan Siddiqi
jo kuchh hua wo kaise hua jaanta hun main
jo kuchh nahin hua wo bata kyun nahin hua
Irfan Siddiqi
jism ki ranaiyon tak KHwahishon ki bhiD hai
ye tamasha KHatm ho jae to ghar jaenge log
Irfan Siddiqi
jaane kya Than ke uThta hun nikalne ke liye
jaane kya soch ke darwaze se lauT aata hun
Irfan Siddiqi
jaan hum kar-e-mohabbat ka sila chahte the
dil-e-sada koi mazdur hai ujrat kaisi
Irfan Siddiqi
aaj tak un ki KHudai se hai inkar mujhe
main to ek umr se kafir hun sanam jaante hain
Irfan Siddiqi
hu ka aalam hai giraftaron ki aabaadi mein
hum to sunte the ki zanjir-e-giran bolti hai
Irfan Siddiqi