sarhaden achchhi ki sarhad pe na rukna achchha
sochiye aadmi achchha ki parinda achchha
Irfan Siddiqi
mujhe ye zindagi nuqsan ka sauda nahin lagti
main aane wali duniya ko bhi taKHmine mein rakhta hun
Irfan Siddiqi
nafrat ke KHazane mein to kuchh bhi nahin baqi
thoDa guzare ke liye pyar bachaen
Irfan Siddiqi
aat ko jit to pata nahin lekin ye charagh
kam se kam raat ka nuqsan bahut karta hai
Irfan Siddiqi
afaqaton ko zara sochne ka mauqa do
ki is ke baad ghane jangalon ka rasta hai
Irfan Siddiqi
et par thak ke gira hun to hawa puchhti hai
aap is dasht mein kyun aae the wahshat ke baghai
Irfan Siddiqi
uh ko ruh se milne nahin deta hai badan
KHair ye bich ki diwar gira chahti hai
Irfan Siddiqi
up ki dhup kahan jati hai malum nahin
sham kis tarah utar aati hai ruKHsaron pa
Irfan Siddiqi
sab ko nishana karte karte
KHud ko mar giraya hum ne
Irfan Siddiqi