اردو हिंदी
Mere hone mein kisi taur se shamil ho jao | Shaahi Shayari
mere hone mein kisi taur se shamil ho jao

Ghazal

Mere hone mein kisi taur se shamil ho jao

Irfan Siddiqi

;

mere hone mein kisi taur se shamil ho jao
tum masiha nahin hote ho to qatil ho jao

dasht se dur bhi kya rang dikhata hai junun
dekhna hai to kisi shahr mein daKHil ho jao

jis pe hota hi nahin KHun-e-do-alam sabit
baDh ke ek din usi gardan mein hamail ho jao

wo sitamgar tumhein tasKHir kiya chahta hai
KHak ban jao aur us shaKHs ko hasil ho jao

ishq kya kar-e-hawas bhi koi aasan nahin
KHair se pahle isi kaam ke qabil ho jao

abhi paikar hi jala hai to ye aalam hai miyan
aag ye ruh mein lag jae to kaamil ho jao

main hun ya mauj-e-fana aur yahan koi nahin
tum agar ho to zara rah mein hail ho jao