ura hi kya hai baratna purani rasmon ka
kabhi sharab ka pina bhi kya halal na tha
Hafeez Jaunpuri
gaya jo hath se wo waqt phir nahin aata
kahan umid ki phir din phiren hamare a
Hafeez Jaunpuri
haal mera bhi ja-e-ibrat hai
ab sifarish raqib karte hain
Hafeez Jaunpuri
aadmi ka aadmi har haal mein hamdard ho
ek tawajjoh chahiye insan ko insan ki taraf
Hafeez Jaunpuri
hasinon se faqat sahib-salamat dur ki achchhi
na un ki dosti achchhi na un ki dushmani achchhi
Hafeez Jaunpuri
is ko samjho na KHatt-e-nafs 'hafiz'
aur hi kuchh hai shaeri se gharaz
Hafeez Jaunpuri
jab mila koi hasin jaan par aafat aai
sau jagah ahd-e-jawani mein tabiat aai
Hafeez Jaunpuri
jab na tha zabt to kyun aae ayaadat ke liye
tum ne kahe ko mera haal-e-pareshan dekha
Hafeez Jaunpuri
jo diwanon ne paimaish ki hai maidan-e-qayamat ki
faqat do gaz zamin Thahri wo mere dasht-e-wahshat ki
Hafeez Jaunpuri