اردو हिंदी
Junun ke josh mein phirte hain mare mare ab | Shaahi Shayari
junun ke josh mein phirte hain mare mare ab

Ghazal

Junun ke josh mein phirte hain mare mare ab

Hafeez Jaunpuri

;

junun ke josh mein phirte hain mare mare ab
ajal laga de kahin gor ke kinare ab

gaya jo hath se wo waqt phir nahin aata
kahan umid ki phir din phiren hamare ab

ajab nahin hai ki phir aaj hum sahar dekhen
ki aasman pe ginti ke hain sitare ab

jab us ke hath mein dil hai meri bala jaane
mile wo panw se ya apne sar se ware ab

inayaton ki wo baaten na wo karam ki nigah
badal gae hain kuchh andaz ab tumhaare ab

ye Dar hai ho na sar-e-rahguzar hangama
samajh ke kijiye darban se kuchh ishaare ab

'hafiz' sochiye is baat mein hain do pahlu
kaha hai us ne ki ab ho chuke tumhaare ab