zahid ko raT lagi hai sharab-e-tuhur ki
aaya hai mai-kade mein to sujhi hai dur ki
Hafeez Jaunpuri
zahid sharab-e-nab ho ya baada-e-tuhur
pine hi par jab aae haram o halal kya
Hafeez Jaunpuri
hamein yaad rakhna hamein yaad karna
agar koi taza sitam yaad aae
Hafeez Jaunpuri
aap hi se na jab raha matlab
phir raqibon se mujh ko kya matla
Hafeez Jaunpuri
aashiq ki be-kasi ka to aalam na puchhiye
majnun pe kya guzar gai sahra gawah hai
Hafeez Jaunpuri
aKHir waqt hai kis munh se jaun masjid ko
tamam umr to guzri sharab-KHane mein
Hafeez Jaunpuri
ahut dur to kuchh nahin ghar mera
chale aao ek din Tahalte hue
Hafeez Jaunpuri
aiTh jata hun jahan chhanw ghani hoti hai
hae kya chiz gharib-ul-watani hoti hai
Hafeez Jaunpuri
osa-e-ruKHsar par takrar rahne dijiye
lijiye ya dijiye inkar rahne dijiye
Hafeez Jaunpuri