pahchan apni hum ne miTai hai is tarah
bachchon mein koi baat hamari na aaegi
Bashir Badr
pahli bar nazron ne chand bolte dekha
hum jawab kya dete kho gae sawalon mein
Bashir Badr
patthar ke jigar walo gham mein wo rawani hai
KHud rah bana lega bahta hua pani hai
Bashir Badr
patthar mujhe kahta hai mera chahne wala
main mom hun us ne mujhe chhu kar nahin dekha
Bashir Badr
phir se KHuda banaega koi naya jahan
duniya ko yun miTaegi ikkiswin sadi
Bashir Badr
phir yaad bahut aaegi zulfon ki ghani sham
jab dhup mein saya koi sar par na milega
Bashir Badr
phul barse kahin shabnam kahin gauhar barse
aur is dil ki taraf barse to patthar barse
Bashir Badr
phulon mein ghazal rakhna ye raat ki rani hai
is mein teri zulfon ki be-rabt kahani hai
Bashir Badr
pyar hi pyar hai sab log barabar hain yahan
mai-kade mein koi chhoTa na baDa jam uTha
Bashir Badr