lagae piTh baiThi sochti rahti thi main jis se
wahi diwar lafzon ki achanak aa rahi mujh pa
Aziz Bano Darab Wafa
kuredta hai bahut rakh mere mazi ki
main chuk jaun to wo ungliyan jala lega
Aziz Bano Darab Wafa
koi mausam meri ummidon ko ras aaya nahin
fasl andhiyaron ki kaTi aur diye boti rahi
Aziz Bano Darab Wafa
aaina-KHane mein khinche liye jata hai mujhe
kaun meri hi adalat mein bulata hai mujhe
Aziz Bano Darab Wafa
KHwab darwazon se daKHil nahin hote lekin
ye samajh kar bhi wo darwaza khula rakkhega
Aziz Bano Darab Wafa
kahne wala KHud to sar takiye pe rakh kar so gaya
meri be-chaari kahani raat bhar roti rahi
Aziz Bano Darab Wafa
jin ko diwar-o-dar bhi Dhak na sake
is qadar be-libas hain kuchh log
Aziz Bano Darab Wafa
jab kisi raat kabhi baiTh ke mai-KHane mein
KHud ko banTega to dega mera hissa mujh ko
Aziz Bano Darab Wafa
jaane kitne raaz khulen jis din chehron ki rakh dhule
lekin sadhu-santon ko dukh de kar pap kamae kaun
Aziz Bano Darab Wafa