sunne wale mera qissa tujhe kya lagta hai
chor darwaza kahani ka khula lagta hai
Aziz Bano Darab Wafa
shiw to nahin hum phir bhi hum ne duniya bhar ke zahr piye
itni kaDwahaT hai munh mein kaise miThi baat karen
Aziz Bano Darab Wafa
dhup meri sari rangini uDa le jaegi
sham tak main dastan se waqia ho jaungi
Aziz Bano Darab Wafa
hum se ziyaada kaun samajhta hai gham ki gahrai ko
hum ne KHwabon ki miTTi se paTa hai is khai ko
Aziz Bano Darab Wafa
hum ne sab ko muflis pa ke toD diya dil ka kashkol
hum ko koi kya de dega kyun munh-dekhi baat karen
Aziz Bano Darab Wafa
hum ne sara jiwan banTi pyar ki daulat logon mein
hum hi sara jiwan tarse pyar ki pai pai ko
Aziz Bano Darab Wafa
hum mata-e-dil-o-jaan le ke bhala kya jaen
aisi basti mein jahan koi luTera bhi nahin
Aziz Bano Darab Wafa
hum hain ehsas ke sailab-zada sahil par
dekhiye hum ko kahan le ke kinara jae
Aziz Bano Darab Wafa
hum aise surma hain laD ke jab haalat se palTe
to baDh ke zindagi ne pesh kin baisakhiyan hum ko
Aziz Bano Darab Wafa