mere andar koi takta raha rasta us ka
main hamesha ke liye rah gai chilman ban ke
Aziz Bano Darab Wafa
mere andar ek dastak si kahin hoti rahi
zindagi oDhe hue main be-KHabar soti rahi
Aziz Bano Darab Wafa
mar ke KHud mein dafn ho jaungi main bhi ek din
sab mujhe DhunDenge jab main rasta ho jaungi
Aziz Bano Darab Wafa
main us ki dhup hun jo mera aaftab nahin
ye baat KHud pe main kis tarah aashkar karun
Aziz Bano Darab Wafa
main us ke samne uryan lagungi duniya ko
wo mere jism ko mera libas kar dega
Aziz Bano Darab Wafa
main shaKH-e-sabz hun mujh ko utar kaghaz par
meri tamam bahaaron ko be-KHizan kar de
Aziz Bano Darab Wafa
main raushni hun to meri pahunch kahan tak hai
kabhi charagh ke niche bikhar ke dekhungi
Aziz Bano Darab Wafa
main phuT phuT ke roi magar mere andar
bikherta raha be-rabt qahqahe koi
Aziz Bano Darab Wafa
main ne ye soch ke boe nahin KHwabon ke daraKHt
kaun jangal mein uge peD ko pani dega
Aziz Bano Darab Wafa