apni hasti ka kuchh ehsas to ho jae mujhe
aur nahin kuchh to koi mar hi Dale mujh ko
Aziz Bano Darab Wafa
ahmiyat ka mujhe apni bhi to andaza hai
tum gae waqt ki manind ganwa do mujh ko
Aziz Bano Darab Wafa
aaj kam-az-kam KHwabon hi mein mil ke pi lete hain, kal
shayad KHwabon mein bhi KHali paimane Takraen log
Aziz Bano Darab Wafa
kisi janam mein jo mera nishan mila tha use
pata nahin ki wo kab us nishan tak pahuncha
Aziz Bano Darab Wafa
main kis zaban mein us ko kahan talash karun
jo meri gunj ka lafzon se tarjuma kar de
Aziz Bano Darab Wafa
main jab bhi us ki udasi se ub jaungi
to yun hansega ki mujh ko udas kar dega
Aziz Bano Darab Wafa
main bhi sahil ki tarah TuT ke bah jati hun
jab sada de ke bulata hai samundar mujh ko
Aziz Bano Darab Wafa
main apne jism mein rahti hun is takalluf se
ki jaise aur kisi dusre ke ghar mein hun
Aziz Bano Darab Wafa
main apne aap se Takra gai thi KHair hui
ki aa gaya meri qismat se darmiyan mein wo
Aziz Bano Darab Wafa