wasl mein KHali hui ghair se mahfil to kya
sharm bhi jae to main jaanun ki tanhai hui
so what if all my rivals from the gathering have gone
when her coyness too departs will we be then alone
Ameer Minai
wo aur wada wasl ka qasid nahin nahin
sach sach bata ye lafz unhin ki zaban ke hain
Ameer Minai
ye kahunga ye kahunga ye abhi kahte ho
samne un ke bhi jab hazrat-e-dil yaad rahe
Ameer Minai
zist ka e'tibar kya hai 'amir'
aadmi bulbula hai pani ka
Ameer Minai
zabt dekho udhar nigah na ki
mar gae marte marte aah na ki
Ameer Minai
zahid umid-e-rahmat-e-haq aur hajw-e-mai
pahle sharab pi ke gunah-gar bhi to ho
Ameer Minai
ulfat mein barabar hai wafa ho ki jafa ho
har baat mein lazzat hai agar dil mein maza ho
Ameer Minai
ye bhi ek baat hai adawat ki
roza rakkha jo hum ne dawat ki
Ameer Minai
yar pahlu mein hai tanhai hai kah do nikle
aaj kyun dil mein chhupi baiThi hai hasrat meri
my love beside me, solitude, tell them to play a part
why do my desires cower hidden in my heart
Ameer Minai