sara parda hai dui ka jo ye parda uTh jae
gardan-e-shaiKH mein zunnar barhaman Dale
Ameer Minai
sari duniya ke hain wo mere siwa
main ne duniya chhoD di jin ke liye
Ameer Minai
sab hasin hain zahidon ko na-pasand
ab koi hur aaegi un ke liye
Ameer Minai
samajhta hun sabab kafir tere aansu nikalne ka
dhuan lagta hai aankhon mein kisi ke dil ke jalne ka
Ameer Minai
sarakti jae hai ruKH se naqab aahista aahista
nikalta aa raha hai aaftab aahista aahista
the veil slips from her visage at such a gentle pace
as though the sun emerges from a cloud's embrace
Ameer Minai
sau sher ek jalse mein kahte the hum 'amir'
jab tak na sher kahne ka hum ko shuur tha
Ameer Minai
shaer ko mast karti hai tarif-e-sher 'amir'
sau botalon ka nashsha hai is wah wah mein
Ameer Minai
shaKHon se barg-e-gul nahin jhaDte hain bagh mein
zewar utar raha hai urus-e-bahaar ka
Ameer Minai
shab-e-furqat ka jaga hun farishto ab to sone do
kabhi fursat mein kar lena hisab aahista aahista
I haven't slept since parting eve, O Angels, I request
I'll settle your accounts at leisure for now let me rest
Ameer Minai