tujh se mangun main tujhi ko ki sabhi kuchh mil jae
sau sawalon se yahi ek sawal achchha hai
Ameer Minai
tum ko aata hai pyar par ghussa
mujh ko ghusse pe pyar aata hai
Ameer Minai
tul-e-shab-e-firaq ka qissa na puchhiye
mahshar talak kahun main agar muKHtasar kahun
Ameer Minai
ulfat mein barabar hai wafa ho ki jafa ho
har baat mein lazzat hai agar dil mein maza ho
Ameer Minai
us ki hasrat hai jise dil se miTa bhi na sakun
DhunDne us ko chala hun jise pa bhi na sakun
The one that I desire, this heart cannot displace
The one who is unattainable I seek to embrace
Ameer Minai
wae qismat wo bhi kahte hain bura
hum bure sab se hue jin ke liye
Ameer Minai
wahi rah jate hain zabanon par
sher jo intiKHab hote hain
Ameer Minai
wasl ho jae yahin hashr mein kya rakkha hai
aaj ki baat ko kyun kal pe uTha rakkha hai
Ameer Minai
wasl ka din aur itna muKHtasar
din gine jate the is din ke liye
Ameer Minai