mila kar KHak mein bhi hae sharm un ki nahin jati
nigah nichi kiye wo samne madfan ke baiThe hain
Ameer Minai
mili hai duKHtar-e-raz laD-jhagaD ke qazi se
jihad kar ke jo aurat mile haram nahin
Ameer Minai
mera KHat us ne paDha paDh ke nama-bar se kaha
yahi jawab hai is ka koi jawab nahin
Ameer Minai
misi chhuTi hui sukhe hue honT
ye surat aur aap aate hain ghar se
Ameer Minai
muddat mein sham-e-wasl hui hai mujhe nasib
do-chaar sal tak to ilahi sahar na ho
Ameer Minai
pahle to mujhe kaha nikalo
phir bole gharib hai bula lo
Ameer Minai
nabz-e-bimar jo ai rashk-e-masiha dekhi
aaj kya aap ne jati hui duniya dekhi
Ameer Minai
nawak-e-naz se mushkil hai bachana dil ka
dard uTh uTh ke batata hai Thikana dil ka
Ameer Minai
pahlu mein mere dil ko na ai dard kar talash
muddat hui gharib watan se nikal gaya
Ameer Minai