asar ye tere anfas-e-masihai ka hai 'akbar'
allahabad se langDa chala lahore tak pahuncha
Akbar Allahabadi
chahiye kya tumhein tohfe mein bata do warna
hum to bazar ke bazar uTha laenge
Ata Turab
main ne bheji thi gulabon ki bashaarat us ko
tohfatan us ne bhi KHushbu-e-wafa bheji hai
Hamid Sarosh
aur kuchh tohfa na tha jo late hum tere niyaz
ek do aansu the aankhon mein so bhar laen hain hum
Meer Hasan
kai tarah ke tahaif pasand hain us ko
magar jo kaam yahan phul se nikalta hai
Rana Amir Liyaqat
aaj bhi shayad koi phulon ka tohfa bhej de
titliyan manDla rahi hain kanch ke gul-dan pa
Shakeb Jalali