dard ke mausam ka kya hoga asar anjaan par
dosto pani kabhi rukta nahin Dhalwan par
aaj tak us ke taaqub mein bagule hain rawan
abr ka TukDa kabhi barsa tha registan par
main jo parbat par chaDha wo aur uncha ho gaya
aasman jhukta nazar aaya mujhe maidan par
kamre KHali ho gae sayon se aangan bhar gaya
Dubte suraj ki kirnen jab paDin dalan par
ab yahan koi nahin hai kis se baaten kijiye
ye magar chup-chap si taswir aatish-dan par
aaj bhi shayad koi phulon ka tohfa bhej de
titliyan manDla rahi hain kanch ke gul-dan par
bas chale to apni uryani ko us se Dhanp lun
nili chadar si tani hai jo khule maidan par
wo KHamoshi ungliyan chaTKHa rahi thi ai 'shakeb'
ya ki bunden baj rahi thin raat raushan-dan par
Ghazal
Dard ke mausam ka kya hoga asar anjaan par
Shakeb Jalali