sahil pe log yunhi khaDe dekhte rahe
dariya mein hum jo utre to dariya utar gaya
Abdullah Javed
dhaare se kabhi kashti na haTi aur sidhi ghaT par aa pahunchi
sab bahte hue dariyaon ke kya do hi kinare hote hain
Arzoo Lakhnavi
aata hai jo tufan aane de kashti ka KHuda KHud hafiz hai
mumkin hai ki uThti lahron mein bahta hua sahil aa jae
this vessel is by God sustained let the mighty storms appear,
Behzad Lakhnavi
agar maujen Dubo detin to kuchh taskin ho jati
kinaron ne Duboya hai mujhe is baat ka gham hai
Divakar Rahi
main jis raftar se tufan ki jaanib baDhta jata hun
usi raftar se nazdik sahil hota jata hai
Ehsan Danish
safar mein koi kisi ke liye Thaharta nahin
na muD ke dekha kabhi sahilon ko dariya ne
Farigh Bukhari
us na-KHuda ke zulm o sitam hae kya karun
kashti meri Duboi hai sahil ke aas-pas
Hasrat Mohani