main hun kya chiz jo us tarz pe jaun 'akbar'
'nasiKH' o 'zauq' bhi jab chal na sake 'mir' ke sath
Akbar Allahabadi
'haali' suKHan mein 'shefta' se mustafid hai
'ghaalib' ka mo'taqid hai muqallid hai 'mir' ka
Altaf Hussain Hali
'mir' ka rang baratna nahin aasan ai 'dagh'
apne diwan se mila dekhiye diwan un ka
Dagh Dehlvi
'dagh' ke sher jawani mein bhale lagte hain
'mir' ki koi ghazal gao ki kuchh chain paDe
Ganesh Bihari Tarz
sirf zaban ki naqqali se baat na ban paegi 'hafiz'
dil par kari choT lage to 'mir' ka lahja aae hai
Hafeez Merathi
'iqbaal' ki nawa se musharraf hai go 'naim'
urdu ke sar pe 'mir' ki ghazlon ka taj hai
Hasan Nayeem
guzre bahut ustad magar rang-e-asar mein
be-misl hai 'hasrat' suKHan-e-'mir' abhi tak
Hasrat Mohani