koi KHud-kushi ki taraf chal diya
udasi ki mehnat Thikane lagi
Adil Mansuri
saDak pe baiTh gae dekhte hue duniya
aur aise tark hui ek KHud-kushi hum se
Ahmad Ata
Tags:
| Khudkushi |
| 2 Lines Shayari |
KHud-kushi karne mein bhi nakaam rah jate hain hum
kaun amrit ghol deta hai hamare zahr mein
Anjum Ludhianvi
Tags:
| Khudkushi |
| 2 Lines Shayari |
gharib-e-shahr to faqe se mar gaya 'arif'
amir-e-shahr ne hire se KHud-kushi kar li
Arif Shafiq
aaj to jaise din ke sath dil bhi ghurub ho gaya
sham ki chae bhi gai maut ke Dar ke sath sath
Idris Babar
maut ke darinde mein ek kashish to hai 'sarwat'
log kuchh bhi kahte hon KHud-kushi ke bare mein
Sarvat Husain