kanTa sa jo chubha tha wo lau de gaya hai kya
ghulta hua lahu mein ye KHurshid sa hai kya
Ada Jafri
kanTon se dil lagao jo ta-umr sath den
phulon ka kya jo sans ki garmi na sah saken
befriend the thorns for they will be loyal until death
what of these flowers that will wilt with just a burning breath
Akhtar Shirani
uri sarisht na badli jagah badalne se
chaman mein aa ke bhi kanTa gulab ho na saka
Arzoo Lakhnavi
phulon ki tazgi hi nahin dekhne ki chiz
kanTon ki samt bhi to nigahen uTha ke dekh
Asad Badayuni
kanTe se bhi nichoD li ghairon ne bu-e-gul
yaron ne bu-e-gul se bhi kanTa bana diya
Aslam Kolsarii
uk gaya hath tera kyun 'basir'
koi kanTa to na tha phulon mein
Basir Sultan Kazmi
KHar-e-hasrat bayan se nikla
dil ka kanTa zaban se nikla
Dagh Dehlvi