uTTha jo abr dil ki umangen chamak uThin
lahrain bijliyan to main lahra ke pi gaya
Ehsan Danish
ijli chamki to abr roya
yaad aa gai kya hansi kisi ki
Goya Faqir Mohammad
qafas se aashiyan tabdil karna baat hi kya thi
hamein dekho ki hum ne bijliyon se aashiyan badla
Mahzar Lakhnavi
Darta hun aasman se bijli na gir paDe
sayyaad ki nigah su-e-ashiyan nahin
Momin Khan Momin
ijli giregi sehn-e-chaman mein kahan kahan
kis shaKH-e-gulistan pe mera aashiyan nahin
Salam Sandelvi
lahu se main ne likha tha jo kuchh diwar-e-zindan par
wo bijli ban ke chamka daman-e-subh-e-gulistan pa
Seemab Akbarabadi
qafas ki tiliyon mein jaane kya tarkib rakkhi hai
ki har bijli qarib-e-ashiyan malum hoti hai
Seemab Akbarabadi