aap jate to hain us bazm mein 'shibli' lekin
haal-e-dil dekhiye izhaar na hone pae
shiblii you do go to her gathering today
make sure your heart's condition is kept hidden away
Shibli Nomani
ajab kya hai jo nau-KHezon ne sab se pahle jaanen din
ki ye bachche hain in ko jald so jaane ki aadat hai
Shibli Nomani
faraaz-e-dar pe bhi main ne tere git gae hain
bata ai zindagi tu legi kab tak imtihan mera
Shibli Nomani
jama kar lijiye ghairon ko magar KHubi-e-bazm
bas wahin tak hai ki bazar na hone pae
Shibli Nomani
main ruh-e-alam-e-imkan mein sharh-e-azmat-e-yazdan
azal hai meri bedari abad KHwab-e-giran mera
Shibli Nomani
tasKHir-e-chaman par nazan hain tazin-e-chaman to kar na sake
tasnif fasana karte hain kyun aap mujhe bahlane ko
Shibli Nomani
ye nazm-e-ain ye tarz-e-bandish suKHanwari hai fusun-gari hai
ki reKHta mein bhi tere 'shibli' maza hai tarz-e-'ali-hazin' ka
Shibli Nomani