karen taqat ganwa kar aabidan mai-KHana kun sajda
kya zunnar mein tasbih dekhan ru-e-zebara
Quli Qutub Shah
main na jaanun kaba-o-but-KHana-o-mai-KHana kun
dekhta hun har kahan dasta hai tuj mukh ka safa
Quli Qutub Shah
mohabbat ki sultani hai sab jagat mein
ki is sam nahin koi gyani-o-dani
Quli Qutub Shah
nabi sadqe kutub shah dil mein kita
mohabbat haidar-e-karrar ehdas
Quli Qutub Shah
piya baj pyala piya jae na
piya baj yak-til jiya jae na
Quli Qutub Shah
piya ki yaad sun pita hun main mai
hamara haal kya jaanenge sukh-zad
Quli Qutub Shah
'qutub' shah na de muj diwane ko pand
diwane kun kuch pand diya jae na
Quli Qutub Shah