ab kahan tak pattharon ki bandagi karta phirun
dil se jis dam bhi pukarunga KHuda mil jaega
Nafas Ambalvi
ab tak to is safar mein faqat tishnagi mili
sunte the raste mein samundar bhi aaega
Nafas Ambalvi
ab un ki KHwab-gahon mein koi aawaz mat karna
bahut thak-haar kar footpath par mazdur soe hain
Nafas Ambalvi
apne daraaz-qad pe bahut naz tha jinhen
wo peD aandhiyon mein zamin se ukhaD gae
Nafas Ambalvi
hamari rah se patthar uTha kar phenk mat dena
lagi hain Thokaren tab ja ke chalna sikh pae hain
Nafas Ambalvi
hamari zindagi jaise koi shab bhar ka jalsa hai
sahar hote hi KHwabon ke gharaunde TuT jate hain
Nafas Ambalvi
hamein duniya faqat kaghaz ka ek TukDa samajhti hai
patangon mein agar Dhal jaen hum to aasman chhu len
Nafas Ambalvi
inkar kar raha hun to qimat buland hai
bikne pe aa gaya to gira denge dam log
Nafas Ambalvi
is shahar mein KHwabon ki imarat nahin banti
behtar hai ki tamir ka naqsha hi badal lo
Nafas Ambalvi