اردو हिंदी
Nafas Ambalvi Shayari | Shaahi Shayari

Nafas Ambalvi Shers

23 Shers

marne ko mar bhi jaun koi masala nahin
lekin ye tai to ho ki abhi ji raha hun main

Nafas Ambalvi


Tags: | 2 Lines Shayari |


ab kahan tak pattharon ki bandagi karta phirun
dil se jis dam bhi pukarunga KHuda mil jaega

Nafas Ambalvi


Tags: | 2 Lines Shayari |


is shahar mein KHwabon ki imarat nahin banti
behtar hai ki tamir ka naqsha hi badal lo

Nafas Ambalvi


Tags: | 2 Lines Shayari |


inkar kar raha hun to qimat buland hai
bikne pe aa gaya to gira denge dam log

Nafas Ambalvi


Tags: | 2 Lines Shayari |


hamein duniya faqat kaghaz ka ek TukDa samajhti hai
patangon mein agar Dhal jaen hum to aasman chhu len

Nafas Ambalvi


Tags: | 2 Lines Shayari |


hamari zindagi jaise koi shab bhar ka jalsa hai
sahar hote hi KHwabon ke gharaunde TuT jate hain

Nafas Ambalvi


Tags: | 2 Lines Shayari |


hamari rah se patthar uTha kar phenk mat dena
lagi hain Thokaren tab ja ke chalna sikh pae hain

Nafas Ambalvi




apne daraaz-qad pe bahut naz tha jinhen
wo peD aandhiyon mein zamin se ukhaD gae

Nafas Ambalvi


Tags: | 2 Lines Shayari |


ab un ki KHwab-gahon mein koi aawaz mat karna
bahut thak-haar kar footpath par mazdur soe hain

Nafas Ambalvi