aaj tak un ki KHudai se hai inkar mujhe
main to ek umr se kafir hun sanam jaante hain
Irfan Siddiqi
ab aa gai hai sahar apna ghar sambhaalne ko
chalun ki jaga hua raat bhar ka main bhi hun
Irfan Siddiqi
abhi se rasta kyun rokne lagi duniya
khaDe hue hain abhi apne ru-ba-ru hum log
Irfan Siddiqi
ai lahu main tujhe maqtal se kahan le jaun
apne manzar hi mein har rang bhala lagta hai
Irfan Siddiqi
ai parindo yaad karti hai tumhein pagal hawa
roz ek nauha sar-e-shaKH shajar sunta hun main
Irfan Siddiqi
ajab harif tha mere hi sath Dub gaya
mere safine ko gharqab dekhne ke liye
Irfan Siddiqi
ajnabi jaan ke kya nam-o-nishan puchhte ho
bhai hum bhi usi basti ke nikale hue hain
Irfan Siddiqi
apne chaaron samt diwaren uThana raat din
raat din phir sari diwaron mein dar karna mujhe
Irfan Siddiqi
apne kis kaam mein laega batata bhi nahin
hum ko auron pe ganwana bhi nahin chahta hai
Irfan Siddiqi