اردو हिंदी
Irfan Siddiqi Shayari | Shaahi Shayari

Irfan Siddiqi Shers

79 Shers

tere siwa koi kaise dikhai de mujh ko
ki meri aaankhon pe hai dast-e-ghaebana tera

Irfan Siddiqi


Tags: | 2 Lines Shayari |


suna tha main ne ki fitrat KHala ki dushman hai
so wo badan meri tanhaiyon ko paT gaya

Irfan Siddiqi


Tags: | 2 Lines Shayari |


shoala-e-ishq bujhana bhi nahin chahta hai
wo magar KHud ko jalana bhi nahin chahta hai

Irfan Siddiqi


Tags: | 2 Lines Shayari |


sham-e-KHema koi zanjir nahin ham-safaran
jis ko jaana hai chala jae ijazat kaisi

Irfan Siddiqi




adan mein jaise lahu taziyana ho gaya hai
use gale se lagae zamana ho gaya hai

Irfan Siddiqi




hum ne muddat se ulaT rakkha hai kasa apna
dast-e-dadar tere dirham-o-dinar pe KHak

Irfan Siddiqi


Tags: | 2 Lines Shayari |


hum ne dekha hi tha duniya ko abhi us ke baghair
lijiye bich mein phir dida-e-tar aa gae hain

Irfan Siddiqi


Tags: | 2 Lines Shayari |


hum kaun shanawar the ki yun par utarte
sukhe hue honTon ki dua le gai hum ko

Irfan Siddiqi


Tags: | 2 Lines Shayari |


hum baDe ahl-e-KHirad bante the ye kya ho gaya
aql ka har mashwara diwana-pan lagne laga

Irfan Siddiqi


Tags: | 2 Lines Shayari |