aai kya ji mein tegh-e-qatil ke
ki juda ho gai gale mil ke
Hasan Barelvi
aap ki zid ne mujhe aur pilai hazrat
shaiKH-ji itni nasihat bhi buri hoti hai
Hasan Barelvi
abr hai gulzar hai mai hai KHushi ka daur hai
aaj to Dube hue dil ko uchhalne dijiye
Hasan Barelvi
ole wo bosa-ha-e-paiham par
are kam-baKHt kuchh hisab bhi hai
Hasan Barelvi
choT jab dil par lage fariyaad paida kyun na ho
ai sitam-ara jo aisa ho to aisa kyun na ho
Hasan Barelvi
dekh aao mariz-e-furqat ko
rasm-e-duniya bhi hai sawab bhi hai
Hasan Barelvi
dil ko jaanan se 'hasan' samjha-bujha ke lae the
dil hamein samjha-bujha kar su-e-jaanan le chala
Hasan Barelvi
ek kah kar jis ne sunni ho hazaron baaten
wo kahe un se mujhe aap se kuchh kahna hai
Hasan Barelvi
gulshan-e-KHuld ki kya baat hai kya kahna hai
par hamein tere hi kuche mein paDa rahna hai
Hasan Barelvi