'ghamgin' jo ek aan pe tere ada hua
kya KHush ada use teri ai KHush-ada lagi
Ghamgeen Dehlvi
hath se mere wo pita nahin muddat se sharab
yaro kya apni KHushi main ne pilana chhoDa
Ghamgeen Dehlvi
jam le kar mujh se wo kahta hai apne munh ko pher
ru-ba-ru yun tere mai pine se sharmate hain hum
Ghamgeen Dehlvi
kiya badnam ek aalam ne 'ghamgin' pak-bazi mein
jo main teri tarah se bad-nazar hota to kya hota
Ghamgeen Dehlvi
koi samjhao unhen bahr-e-KHuda ai momino
us sanam ke ishq mein jo mujh ko samjhate hain log
Ghamgeen Dehlvi
meri ye aarzu hai waqt-e-marg
us ki aawaz kan mein aawe
Ghamgeen Dehlvi
mujhe jo dosti hai us ko dushmani mujh se
na iKHtiyar hai us ka na mera chaara hai
Ghamgeen Dehlvi
shama-ru aashiq ko apne yun jalana chahiye
kuchh hansana chahiye aur kuchh rulana chahiye
Ghamgeen Dehlvi
wo lutf uThaega safar ka
aap-apne mein jo safar karega
Ghamgeen Dehlvi