اردو हिंदी
Na puchh hijr mein jo haal ab hamara hai | Shaahi Shayari
na puchh hijr mein jo haal ab hamara hai

Ghazal

Na puchh hijr mein jo haal ab hamara hai

Ghamgeen Dehlvi

;

na puchh hijr mein jo haal ab hamara hai
umid-e-wasl hi par in dinon guzara hai

na dekhun tujh ko to aata nahin kuchh aah nazar
tu meri putli ka aankhon ki yar tara hai

mujhe jo baam pe shab ko bulae hai wo mah
magar uruj pe kya in dinon sitara hai

yaqin jaan tu waiz ki din o duniya mein
bas us ki sirf mujhe zat ka sahaara hai

ajab tarah se nazar paD gaya mere hamdam
qayamat aah wo mukhDa bhi pyara pyara hai

mujhe jo dosti hai us ko dushmani mujh se
na iKHtiyar hai us ka na mera chaara hai

kaha jo main ne pilate ho bazm mein sab ko
magar hamein hi nahin kya gunah hamara hai

to bole wo ki jise chahen hum pilaen sharab
KHushi hamari tera is mein kya ijara hai

gaya wo parda-nashin jab se apne ghar 'ghamgin'
tamam KHalq se dil ko mere kinara hai